UNCONDITIONAL LOVE (Hindi)
College jha se ek nai life suru hoti hai. Like love , kisi
ka suru hota hai to kisi ka khatam hota hai par third type mean one side love
bhut sare hote hai jo one side love krte hai kuch time unka love success hota
hai to kuch time fail hota hai. Love hmesha ek alag ehsas hota hai kisi nye se
judna usse bate share krna bhut kuch. Mano to love ko define hi nhi kar sakte
bhut sare trike hai love krne ke koi kisi ki khushi ke liye sab chod deta hai
to kisi ki khushi ke liye apne aap ko change kar deta hai. Ta chalo aaj hum
hamari khani suru krte hai. Bat college ki hai to college love ke bare me hi
story hogi.
Tarun
and Mansi jo ki dono hi ek college me the lekin ek dusre ko jante bhi nhi the
ek dusre se anjaan lekin jan tarun ne mansi ko dekha to vo use bhut acchi lgi
sayad tarun ko dekhte hi mansi se love ho gya ho. Mansi psychology student thi
to tarun maths topper use psychology me koi interest nhi tha vo to photography
me hi rhta tha chup chup ke vo mansi ke photos lene lga roj mansi ke piche
piche mansi ko khabar tak nhi thi ki koi uski chup chup ke photo khich rha hai.
Jab tarun ko pta chala ki mansi psychology student hai to vo principal sir ke
pass gya aur sir se khne lga ki sir muje subject change krna hai aur psychology
lena hai sir ne kha ab esa nhi ho skta hai list bhi ban chuki hai. Tarun sir ke
samne jidd krne lga aur fir sir ko to manna hi tha. Agle din tarun psychology
ki class me gya aur jake bench pe baith gya dusre ko apne pass baithne bhi nhi
de rha tha. Vo to bas mansi ka intajar kar rha tha itne mansi to aa hi gyi.
Tarun ki bench khali thi to vo direct tarun ke pas hi baith gyi itne me class
me ek aur student aaya vikram jo ki kafi handsome tha aate hi mansi ko dekha
aur mansi se bat krne lga tarun ko e bilkul accha nhi lga. Mansi ne jab tarun
ko pucha ki tumhe phle kabhi nhi dekha is class me tarun to uske khawabo me hi
kho gya ki usne mujse bat ki. Tab tak sir aae lecture huaa aur sab chale gye.
Tarun to mansi ke piche piche hi jane lga vapas vikram aa gya bich me aur mansi
se bat karte hue dono canteen chale gye. Tarun ko to bhut gussa aaya .
Abhijit
sir jo ki tarun ko bhut acchi tarah jante the sir ne kha abhi ek photography
comptition hai to tumhe participate krna hai tarun ne kha ha sir krne hai sir
ne kha lekin tum photos kiski click kroge. Tarun ne man me socha ki mansi ke
phota hi click kruga. Sir ne kha fix krke btana muje. Sir chale gye ab tarun
mansi ko dundhne lga mansi canteen me thi tarun canteen me aaya aur ek piller
ke piche chup gya. Vo mansi se bat krne me darr rha tha lekin usne thodi himmat
ki aur jese hi pillar se hta to mansi samne aa gyi aur usne jaldi jaldi me kha
mene photography comptition me participate kiya aur me soch rha hu ki me ...
tumhari.....photos click kru. Mansi ne kha tumhara nam kya hai tarun ne kha tarun
mansi ne kha to accha tarun photography ke liye kab aana ahi matlab mansi ne
haa kar hi di thi tarun andar se itna khush huaa ki mano uski khushi ka koi
thikana hi nhi rha. Kal hui tarun aur
mansi dono hi college ke hall me mile phir garden me chale gye jha kooi nhi
tha. Mansi pose de rhi thi aur tarun photo click krte ja rha tha kuch photo
click kiye phir tarun ne kha ki vo tum jo balo ungliyo se piche krti ho vo pose
do mansi ne use kha kya tum ne phle bhi meri photos click ki hai. Tarun darr
gya aur chup ho gya par mansi hyper ho gyi aur use khne lgi tumhari himmat kese
hui chup ke se meri photos click krne ki. Fir kya tarun ne bhi achanak se kha I
LOVE YOU me tumhe pyar krta hu mansi ne kha tum pagal to nhi ho na me vikram se
pyar krti hu. Tarun ne kha vo accha nhi hai tum use choad do. Tarun jidd krne
lga aur mansi se khne lga me tumhe vikram sebhi jyad pyar krta hu tumhe kya
pasand hai kya nhi pasand hai tum kya khati ho kha ghumne jati ho vikram se
jyad janta hu me tumhe. Aur mansi ghusse se vha se chali gyi.
Ab kya
tha tarun mansi ko call pe call kr rha tha lekin mansi use answer tak nhi de
rhi thi calls massages se tang aake usne e bat vikram ko btai vikram ne kha use
to ab me sidha kruga. Mansi ne kha nhi hum principal sir se complaint krenge jo
krna hai sir hi kar denge. Sir ne mansi se kha agar tum polish complaint krna
chahti ho to kar sakti ho lekin mansi ne mna kiya aur kha sir aap use college
se suspend kar do. Sir ne vhi kya. Abhijit sir jo ki tarun ko acchi taraha se
jante the unhone tarun se bat ki aur tarun ko samjhaya ki tumhara love one side
hai mansi tum se pyar nhi krti hai. Tarun ne kha lekin me to krta hu na. Use
bhji krna chahie na tarun baccho jesi bate krne lga. Sir ne use love ka matlab
samjhaya tumhe use love krna hai to kro lekin tum usko majbur nhi kar skte ho.
Love ka matlab ye nhi ki tum usse love kro to vo bhi tumse love kregi tumhara
love unconditional hona chahie. Tarun ko sir ne bhut samjhaya fir jake tarun
samjha lekin ab to use college se suspend bhi kar diya. Abhijit sir ne tarun ko
kha tum roj ek ghante ke liye mere pass aaoge me tumhe samjauga ki tumhe bina
kisi matlab ke loge se love krna unhe samajna chahie. Agle din jab tarun
college gya to mansi ne use dekha usne socha ki ise to suspend kar diya hai
phir bhi e kya kar rha hai mansi uska picha karne lagi tarun abhijit sir ke
cabin me gya aur unhe sari photos de di jo ki usne mansi ki photos click ki thi
par ab bhi uske jeb me ek photo thi mansi cabin me aai aur un photos ko dekha
aur sir se kha kya me tarun se do minute akele me bat kar sakti hu sir vha se
bhar aae mansi ne tarun se kha dekho kitni acchi photos click krte ho tum tum
apne carrier pe dhyan do dum bhut hi aage ja skte ho. Tarun chup chap sunta rha
phir mansi se khne lga ki kya me tumhari ek photo apne pass rakha skta hu.
Mansi ne mna kiya aur vo photo leli mansi ne kha ki jab tum badal jaoge to me
khud tumhe e photo de dungi. Tarun khne lga ek din me jarur bdlunga aur tum
khud muje e photo dogi. Tarun are mansi dono jab cabin se bhar aae to vikram ne
tarun ko dekha liya aur bhagte hue aaya aur tarun ko marne lga abhijit sir ne
use roka lekintarun ne vikram ko kuch nhi kha.
Tarun
ab mansi ko ignore krne lga agar vo mansi ko khi dekhta to bhi vha se dusri aur
chale jate. Photography comptition me photos submit bhi krni thi tarun ne sir
se kha ki sir me mansi kiphoto khichna chahta hu model ke liye. Sir ne tarun ko
thappad mara aur kha ki tum ab bhi nhi sudhre. Tarun ne kha lekin sir me vikram
aur mansi ki photosn sath me khichana chahta hu aur mera koi alag irada nhi hai
aap mansi se ek bar baat kar dena mansi ha khti hai to me uski photo click
kruga nhi to nhi click kruga sir ne socha thik hai sir ne mansi se baat ki aur
mansi ne ha kar di lekin vikram abhi bhi tarun se gussa tha jab photo click
krne ke liye gye to vha bhi vikram tarun ke sath anban krne lga mansi ne use
roka aur tarun ko kha ki tum photo click kro. Tarun ne vikram pe gussa na krte
huaa apne kam pe dhyan diya aur usne kai sariacchi photo bhi click ki fir vha
chale gya.agle din photos submit ki aur uske pas jo bhi copies thi sab mansi ko
de di aur bina kuch khe vo vapas ghar aa gya. Finally tarun winner bna aur usne
socha isme se aadhi money vo mansi ko dega. Jab vo mansi ko money dene gya to
mansi ne mna kar diya aur kha me nhi le sakti. Tarun ne kha agar tumhe lagta
hai ki me badal gya hu to tum ye money le lo. Mansi ne money leli aur tarun ko
thankyou kha aur jate vakt use apni ek photo de di.
Tarun
uske bad mansi se kabhi nhi mila. Abhijit sir jo ki tarun ke love hero bne. Use
samjhaya ki tum love kro lekin aage vale se ye accept mat kro ki vo bhi tumhe
love kro.
To e
thi meri unconditional love story aapko pasand aaye to please like aur commet
jrur krna.
THANK
YOU............
Comments
Post a Comment